Ye Pyaar tha ya
haar
(Short Fiction story)
Mujhe uss se pehli nazar may hi pyaar hogaya tha jab wo mere
saamne se guzri aur saamne wale sofa may jakar baith gayi. Mein nazre bacha
bacha kar uski taraf dekh raha tha, andar se darr b tha ki wo mujhe oose
ghoorta hua naa pakad le par use dekhne ka lalach mujhe rukne nahi de raha tha.
Wo suraj ki kirne jo uske muh par padd rahi thi, use bachne ki uski koshish,
uski choti choti aankho ka aur chota hojana, wo uska muh banana,palke jhapkana
mujhe toh ooski har ada se pyaar hogaya tha.Shayad mere zindagi ka pehla pyaar.
Mereaas paas dheero baate ho rahi thi
par mujhe toh sirf wo hi dikhai de rahi thi.
Mein ek sadharan sa ladka tha jisne zindagi may unglio par
ginni jitni hi uplabhdiyaa prapt ki thi. Mujhe bachpan se rules sikhaye gaye
jaise sabko sikhaye jaate hai for example ticket counter k saamne line lagao,
school time pe jao, subah jaldi utho, raatme jaldi soo etc aur meine pure
imandaari se har ek rule ko nibhaya be hai. Mujhe rules todna pasand nie tha,
kabhi bhi nie, agar galtise koi rule toot b jata toh mere andr guilt aane lag
jaati hai. Shayad kartavya parayan ye sikh mere andr tak ghar kar chuki thi.
School mein saare teachers ka sabse pyaara aur baaki class
ka dushman no. 1. Ye humesha hota hai agar aap teachers k aankho k tare hai toh
dosto k aankho k kaate b apne aap ban jaate hai. Fir b mujhse nafrat karna itna
b aasan nie tha kyuki mein madad karne se b kabhi piche nie hatta tha. Ab
School life tenant life may badal chuki thi ab rank 1 laane se jada famous wo
hota tha jiski sabse sundar girlfriend hoti. Par mein apne zindagi rules may bandha tha mujhe sikhaya gaya tha ki
ye sab paap hai toh humne b apni zimmedaari imaandari se nibhai aur kabhi road
na bhatke.
College may mujhe sirf career hi dikhai deta tha kyuki mera rule
kehta tha ki college jaaakar padhai ki jaaye.Ab tenants adult hogaye aur sutta
marne lage par humne humesha duri hi banayi rakhi thi. Pyaar mohobbat k daur
chalte rahe kisne kiske sath link up kiya aur kisne kiske sath breakup sabki
khabre humtak pahuchti rahi par hum jaha the wahi the. Ye kehna toh galat hi hoga
ki rules break karne ki mujhe kabhi ikcha nie hui, par meine apne mann ko kuch
self imposed rules se baandh rakha tha. Jaisa ki kaha jaata hai ki kaid kiye
panchi ko aazad b kar do toh wo ghumke wapas pinjare may hi aajata hai bus usi
trarah mujhe ab iss kaid se yaari hogai thi.
Ab office aagaya, saikdo students ko pachadkar humne naukri haasil
ki. Ghamand tha hume apne aap pe ki humne jo chaha wo kar dikhaya kyuki saalo
ki mehnat ka fal ab kaatne ka waqt aachuka tha. Corporate life style aur work
style se parichay hua. Par jab parichay hua tab ye mehsus b hua ki shayad mein
isi k liye apne aapko rules may badha nie karta tha, mein apne aapk ko kabhi
unlogo se judaa mehsoos naa kar pata ab office parties may sharabo k daur chalte
the aur hum hath may juice ka glass liye ghumte the. Ab toh log husne b lag
gaye hum par ki ye daaru nie pita hai par is hasi k saamne mujhe kabhi sharm
mehsoos nie hui ulta garv hota tha ki jo rules khud bana liye usko meine puri
nishtha k sath palan kar paya hu. Ab weekends may sab apni wali k sath busy
hojaate the aur mein akeela baithke books padhte ya movie dekhte rahe. Ab office
k chunindaa dosto may meri image sidhe saade ladke ki ban gayi thi, ab kyuki
sabko pata tha ki mera kuch ho nie sakta toh sab ab puchne lage the ki meri
shadi kab hogi.Mujhe b ab intazaar hone laga apni zindagi ko complete karne k
liye.
Waise mere ghar wale mujhse kafi saalo se mannate karte rahe
the ki shaadi kar le par humeshase mera kuch kaam baaki tha bt ek moment pe
jaakar mere ghar walo ka sabr ka bandh bhi tut gaya aur unhone aakhir mujhe ek
ladki dekhne k liye mana hi liye. Mein kisi audit committee ya kisi board
meeting may b itna nervous nie tha jitna mein aaj tha uparse saare relatives
pasand puch puchke pareshan kar rakha tha. Ab mere jaisa insaan jisne kabhi socha
b nie apne life partner ke baareme wo kya apni pasand batayegaa.
Papa ne aaj badi wali car nikaali thi aur driver kia tha,
apni car mujhe khud drive karne may mazaa aata tha par aaj saare instructions
follow karne padd rahe the. Apna sabse acha shirt pant pehenke tayaar kia gaya
tha. Ab hum unke ghar pahoch gaye aur mujhe VIP treatment milna shuru hogaya,
laddu khao ye khao tum kuch khate b nie, itna importance toh mujhe zindagi may
shayad hi kabhi mila hoga. Aaj tak toh khana hai toh kha warna mat kha wala
concept hi meine dekha tha. Log ice breakers chalane lage ab mujhe aadat si thi
meetings attend kar karke diplomatic behaiour. Ek smile dete raho bus. Fir
achanak se mummy ne kaha “aap ki bitiyaa ko toh bulaiye” ye sunke mummy ko
flying kiss dene ka mann kar raha tha. Ye bhi mere sath hota rehta tha jab
board meetings may agenda chodke idhar udhar ki baate hone lagti aur ek
director bolta lets come back to todays agenda tb usko b flying kiss dene ka
mann karta Ab mein apni aankhe ghumaane
laga idhar udhar.
Aur ek sehmisi ladki hath may tray lekar andr aayi, pehna
toh saadi tha par mujhe samajh aaraha tha ki its not her usual dress. Oosee
dekhte hi mann may ek khushnumaa sa ehsaas hone laga, chehre pe achanak se ek
muskaan si aane lagi par mujhe pata tha control may rehnaa hai saare bade log
aas pass baithe hue hai. Oosee mumma ne pass bithaya, suraj ki kirne khidkiyo
ko par karke uske chehre pay padh rahi thi par wo unse bachkar muskuraa kar
jawab de rahi thi. Jaisa ki pehle bataya bus wahi mujhe apne zindagi ka pehla
pyaar hogaya. Fir koi kahi se chillane laga ladka ladki ko aapas may kuch baat
karne do.Abhi toh mein apne pehle pyaar ko puri tarah mehsoos bhi nie kar paya
tha ki itnaa tension wala kaam aagaya. Ab meri phattne lagi, pyaar karna bahot
aasan hai yaar par baat karna behad mujhki hai.
Mujhe toh pasine aarahe the jab mujhe jabardasti akelaa
bitha diya gaya, meine ghabraaye ghabraye use puchaa “aapka naam??” aur mere
dimag may fatt se click hua ki kaun pagal ladki dekhne aata hai bina ladki ka
naam jaane, mujhe uska naam pata bhi tha par ab mera dimaag apna kaam kar hi
nahi raha tha. Fir bhi usne mujhe muskura kar apnaa naam bataya aur mein wahi
flat hogaya ab toh mujhe uski wo khilti hui muskurahat se b pyaar hogaya tha.
Meine use uske college k baaareme pucha ab mujhe bahot aadat thi interviews
lene ki toh iss baareme que puchne may mujhe koi problem hi nie thi. Aur wo
Sharma Sharma k aswer diye jaa rahi thi meri himmat toh nie thi usko direct
dekhne ki par mein apni tirchi nazrose uski tasvirr ko jitna apne mann may basa
saku basa raha tha. Uski tasvir mere dil may basti jaa rahi thi aur mera pathar
dil pighlaa jaa raha tha. Mera bus chalta toh mein wahi behosh ho jata pr mein
ladka tha toh isiliye mein tough banne ki acting karne laga aur ghabrahat k
mare bahot saare questions puchne laga.Har question puchne ki jagah mein use
kehna chahta tha “I love you yaar be my soul mate lets marry right here right
now”. Ab dhire dhire mere questions khatam hogaye aur mein intazaar karne laga
ki wo b kuch kahe.
Bahot daer k sannate k baad usne mujhse kaha “aapka koi
affair wagaire tha..?” usko ye question puchna hi tha kyuki life ka sawaal hota
hai par humara b answer taiyaar hi tha, humne apni chaati chaudi karke answer
diya “Nie kabhi nie” phir thodi daer sannata hogaya issbar bhi usne sannata todte
hue kaha ki “aap iss shadi k liye naa kar doge” jitni chaati chaudi karke meine
usse kaha tha pichla sentence utni hi sharmindgi aur aashcharyaa se meine use dekha,
ab mere paas jada shabd nie the kehne k lie, meine sawal puchti hui apni nazro
se uski ore dekha shayad wo khud samajh gai aur kehne lagi “8 saal se mera boy
friend hai aur hum shadi karege bus kuch waqt ki jarurat hai, mein naa nie kar
sakti toh kya aap mere lie mujhe nie bol doge” meine is question ka jawaab socha
par mu se kuch keh pana ab mushkil tha, meine haan may sar hila diya. Mujhe
shayad uski maangti hui nazro se b pyaar hogay, mujhe uske sehme hue chehre se
bhi pyaar hogaya, mujhe uski sachi mohobbat se b pyaar hogaya.
Hum wapas aaye, meine nie bol dia ghar walo ne reason pucha
toh mein koi thos jawaab diye bagair hi apne kaamo may lag gaya. Jawab tha b
kya, mujhe oose itna pyaar tha ki mere lafz uski buraai nie kar paate. Fir
subah se kuch meetings, kuch project reviews, kuch logo ko daatna, kuch ko
appreciate karna, client ko butter lagana, naye assignments lana aur meri
zindagii ne fir raftaar pakad li par ek din raatme jab mein apne pankhe ko
ghurte hue neend ka intazaar kar raha tha tab mujhe uss ladki ki tasveer aankho
k saamne nazar aane lagi.. shayad pehli baar dil tuta that oh thoda dard toh
honaa hi tha. Fir mein sochne laga uska 8 saal puraana pyaar hai aur 8 saal
pehle meine apne self imposed rules may bandha hua tha jab oose pyaar hua
hoga.. shayad mujhe tab bhi haq nie tha oosse pyaar karne kaa aur mujhe ab bhi
haq nie hai… Fir bhi mujhe oose pyaar hai.. so after all rule break ho hi
gaya..
Nice dear:)really nice:)
ReplyDeleteThanks... :) so nice of you
Deletesweet but sad ending:(
ReplyDeleteThanks.. write your name also so that I will be knowing who is reading..
Delete