Apni kalam se ek arse ke baad milna yuhi lagta hai jaise
bichda hua yaar mil gaya ho. Apne yaar se milna utna hi sukhdayi hota hai jitna
ji jale hue jakhm par thande pani ka chidkao. Aap yu toh bahot saare logo se
guftgoo kar lete hai apni zindagi may par apne yaar se baat karna utna hi saral
hai jitna aaine k samne baith apne aap se baat karna. Acha mitra aapki parchai
ki tarah hota hai jo aapne har lafz ka arth wahi samajhta hai jo aap samjhana
chahte hai warna lafzo ka apna hi ek khel hai. Kuch log sirf apne lafzo ke liye
jaane jaate hai aur kuch gumnami may kho jaate hai kyuki unke lafz chikh na
sake. Humare mitra kabhi kabhi sannate may bhi lafzo ko dhundke uska matlab
pehchan lete hai aur kuch sannate yuhi be matlab ke matlab talashne may guzar
jaate hai.
Toh mein itne din baad kuch likh raha hu aur pehli baa rho
raha hai ki mujhe sochna pad raha hai ki mein likhna kya chahta tha. Shayad
kalam bhi mujhse khafa hogayi hai. Zindagi may mujhse khafa logo ki tadad ab
itni hai ki mujhse khush hone walo ko dhundne chirag le nikalna hoga. Log khafa
hai mere shaksiyat se, log khafa may meri harkato se log khafa meri na harkato
se aur log khafa hai meri khamoshi se. Ab khamoshi ka mayna bhi utna hi taklif
deh hai samajhna jitna samundar se mot nikal pana. Khair har khamoshi ka koi
mayna ho ye hi jaruri nahi aur har baat ka mayna ho ye bhi jaruri nahi, kabhi
khamoshi kuch kehti hai aur kabi alfaaz.
No comments:
Post a Comment